Kainat Mein Sab Se Afzal Zaat Kaun? — Hadees-e-Shifa
Aaj ki qist me hum kitab “Chalees Hadeeso” se 11vi hadees pesh kar rahe hain — jaisi kitab me likhi hai, waise hi tarjume ke sath.
(11) Hadees: Hazrat Aisha (R.A.) se rivayat hai ke unhon ne Rasool-e-Khuda ﷺ se bayan kiya ke Huzoor ﷺ ne farmaya: Mere paas Jibraeel (A.L.) haazir hue aur kaha: Zameen mein mashriq se maghrib tak koi shakhs Muhammad Mustafa ﷺ se behtar nahi paaya gaya, aur koi qabeela Bani Haashim ke qabeele se behtar nahi paaya gaya.
Khulasa: Yaani Huzoor ﷺ ki zaat tamaam aalam mein har shakhs se afzal hai aur Huzoor ﷺ ka qabeela har qabeele se afzal hai.
(Hawala: Shifa Sharif, page-132)
📖 Kitaab: Chalees Hadeeso (40 Hadeeso)
Unwaan: Hadees-11 | Sab Se Afzal Zaat
Zaroor Padhein: Ghaus-e-Azam Ka Waqia • Namaz Ka Bayan • Khwaja Garib Nawaz
