Hazrat Ibrahim (A.S) Ki Dua: Namaz Aur Aulad Ke Liye

Hazrat Ibrahim (A.S) Ki Dua: Namaz Qayam Karne Aur Aulad Ke Liye Dua Ka Bayan
★ Hazrat Ibrahim Alaihissalam Ki Dua ★

رَبِّ اجْعَلْنِيْ مُقِيْمَ الصَّلٰوةِ وَمِنْ ذُرِّيَّتِيْ ۖ رَبَّنَا وَتَقَبَّلْ دُعَاءِ

Tarjuma: "Aye mere Rab! Mujhe namaz ka qayam karne wala rakh aur kuch meri aulad ko, aye hamare Rab! Aur hamari dua sun le." (Para—13, Ruku—18)

Mere pyare Aaqa ﷺ ke pyare deewano! Mazkoora aayat-e-kareema se sabaq milta hai ki Ambiya Kiram Alaihimussalam namaz ke qayam rakhne ki dua apne liye aur apni aulad ke liye karte the.

Woh Hazrat Ibrahim Alaihissalam jo ma'maar-e-Kaaba me hain aur Khaleelullah bhi hain aur Hajj jaise ahem farz ki adaygi me markazi kirdaar ke maalik hain, woh namaz ke ada karne se mutalliq sirf dua hi nahi karte balki uski qubooliyat ki bhi dua karte hain. Isse samajh me aata hai ki Hazrat Khaleel Alaihissalam ki nigah me namaz ki ahmiyat kya thi?

Aaj hum apne liye aur apni aulad ke liye sirf duniyawi fawaid aur aish-o-ishrat hi ki dua karte hain. Kaash! Hum Ambiya-e-Kiram Alaihimussalam ke naqsh-e-qadam par chalte hue namaz qayam karne ki jaddo-jehad karte aur apni aulad ko bhi namaz ka paband banate. Allah ﷻ hum sabko iski taufiq ata farmaye.

Aameen Bijahin Nabiyyil Kareem Alaihi Afzalus Salati Wattasleem

Kitaab Ka Hawala (Reference):
📖 Kitaab: Barkat-e-Shariat (Part: 01)
📄 Safha Number (Page): 34
🔗 Zaroor Padhein (Pichhla Bayan): Namaz Ka Bayan: Namaz Ki Ahmiyat, Fazilat Aur Quran Ka Hukm