Ghusl Ka Tarika: 3 Faraiz, Sunnatein Aur Masail

Ghusl Ka Tarika Ghusl Ke 3 Faraiz, Sunnatein Aur Zaroori Sharai Masail
Ghusl Ka Sharai Tarika Aur Ahkaam

وَإِنْ كُنْتُمْ جُنُبًا فَاطَّهَّرُوْا

Tarjuma: "Aur agar tumhein nahane ki haajat ho toh khoob suthre ho lo (yani achhi tarah ghusl karo)." (Kanzul Imaan: Para 6, Surah Al-Ma'idah, Ayat 6)

Hadees-e-Mubarak: Ummul Momineen Hazrat Aisha Siddiqa (رضي الله عنها) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya: "Jab mard sohbat ke baad ghusl karta hai toh badan ke jis baal par se paani guzarta hai us har baal ke badle uski ek neki likhi jaati hai, ek gunaah kam kar diya jaata hai aur ek darja buland kar diya jaata hai. Aur Allah Ta'ala us bande par fakhr karta hai aur farishton se kehta hai: 'Mere is bande ki taraf dekho ke is sard (thandi) raat me ghusl-e-janabat ke liye utha hai, ise mere Parwardigar hone ka yaqeen hai, tum is baat par gawah rehna ke maine ise bakhsh diya.'"
(Hawala: Ghunyatut-Talibeen, Baab 5, Safha 113)

Ghusl Ke 3 Faraiz (Inke Bina Ghusl Hargiz Nahi Hota)

Ghusl me 3 farz hain. Agar inme se ek bhi farz chhoot gaya toh chahe insaan samandar me hi doob kar kyu na naha le, ghusl hargiz nahi hoga aur woh sharai taur par na-paak hi rahega:

  1. 1. Kullii (Garara) Karna: Munh bhar kar is tarah garara karna ke halaq ke aakhri hisse tak, daanton ke darmiyan aur masoodon tak paani poori tarah pahunch jaye. Daanton me koi cheez phansi ho toh nikaalna zaroori hai.
    (Khaas Masla: Agar roza ho toh garara na karein, sirf dhyan se saadha kulli karein taaki halaq ke niche paani na jaye).
  2. 2. Naak Me Paani Daalna: Naak ki narm haddi tak jahan tak baal ugte hain paani pahunchana farz hai. Ungli se naak ki gandagi nikaal kar paani ko tezi se upar kheench kar dhona chahiye.
  3. 3. Tamaam Badan Par Paani Bahana: Sar ke baalon se le kar paon ke talwon tak poore badan par is tarah paani bahana ke ek baal ke barabar jagah bhi sookhi na rahe. Baglon, naaf (belly button), kaano ke suraakh aur har silwat me paani pahunchana zaroori hai.

Ghusl Karne Ka Sunnat-o-Mustahab Tareeqa

Ghusl me niyat karna sunnat hai (agar niyat na bhi ki tab bhi ghusl ada ho jata hai, lekin niyat ka sawab milta hai). Niyat yeh karein: "Main paak hone aur namaz jaaiz hone ke waaste ghusl kar raha hoon."

  1. Pehle dono haath gatton (kalaiyon) tak teen martaba dhoye'in.
  2. Sharmgah aur uske aas-paas ke hisson ko dhoye'in, chahe wahan najaasat lagi ho ya na lagi ho.
  3. Badan par jahan kahin najaasat ya gandagi ho use achhi tarah dho kar saaf karein.
  4. Mukaamal Wudu karein (jis tarah namaz ke liye wudu kiya jaata hai), jisme garara aur naak me paani daalna shamil ho.
  5. Badan par tel ki tarah paani malein. Fir teen martaba sar par, teen martaba daayen kandhe par aur teen martaba baayen kandhe par paani bahayein.
  6. Poore jism ko haathon se malein taaki koi hissa sookha na rahe. Angoothi ho toh use ghumayein, aurtein kaano ki baali aur naak ki nathni ko hilayein taaki suraakh me paani chala jaye.
  7. Aakhir me ghusl ki jagah se thoda hat kar dono paon achhi tarah dhoye'in.

Ghusl Ke Aham Sharai Masail (Zaroor Dhyan Rakhein)

  • Musta'mal Paani Ka Masla: Agar be-wudu shakhs ya jis par ghusl farz ho, uska be-dhula haath ya ungli balti ke paani me doob jaye toh woh paani ghusl aur wudu ke laaiq nahi rehta. Isliye balti me mag ya lote se paani nikaalein aur haath balti me na daalein.
  • Chheenton Se Hifazat: Nahate waqt jism se girne wale paani ke chheentein balti ke saaf paani me nahi girne chahiye.
  • Qibla Rukh Na Hon: Ghusl karte waqt Qiblah ki taraf rukh ya peeth karke nahana mana hai.
  • Ghusl Me Baatein Aur Dua: Ghuslkhane me nahate waqt baatein karna, ya zubaan se koi dua, Kalma ya Durood Shareef padhna mana hai.
  • Na-paak Kapda Pehan Kar Nahana: Na-paak kapde pehan kar ghusl karne se poore badan par najaasat phail jaati hai. Pehle napaak kapda utaar dein ya use alag se 3 baar dho kar nichodein, fir paak kapde me ya parde wali jagah ghusl karein.
  • Nail Polish (Naakhun Polish) Ka Nuqsaan: Nail polish lagi hone ki wajah se naakhun par paani nahi pahunchta balki fisal jata hai. Is soorat me ghusl aur wudu dono nahi hote aur shakhs hamesha napak rehta hai. Aurton par farz hai ke ghusl se pehle naakhun polish saaf karein.
Kutub Ke Hawale (Authentic References):
📖 Kitab: Qareen-e-Zindagi (Safha: 160, 161, 162, 163, 164)
📚 Deegar Hawale: Fatawa-e-Razawiyyah (Jild 2, Safha 18), Bahar-e-Shariat (Jild 1, Safha 18), Qanoon-e-Shariat (Jild 1, Safha 36-39)
🔗 Zaroor Padhein: Namaz Ka Mukammal Tarika Aur Wudu Ki Sunnatein