Ek Din Mein Qayamat Tak Ka Ilm — Rasool ﷺ Ka Mujiza

Ek Din Mein Qayamat Tak Ka Ilm — Rasool ﷺ Ka Mujiza
★ Bayan-e-Jumma Aur Do Mojize ★

Aaj ki qist me hum kitab “Chalees Hadeeso” se 9vi hadees pesh kar rahe hain — jaisi kitab me likhi hai, waise hi tarjume ke sath.

(9) Hadees: Amr Ibne Abtal Ansari (R.A.) se marvi hai ke unhon ne kaha: Huzoor Saiyad-ul-Aalam ﷺ ne ek Fajr ki namaz mein hamari imamat farmayi, phir minbar sharif par jalwa-faroz hokar Zuhr tak bayan farmaya, phir utar kar namaz padhi. Phir minbar par baith kar Asr tak bayan farmaya, phir namaz padhi. Phir dobara minbar par hokar suraj dhalne tak bayan farmaya, yahan tak ke qayamat tak hone wala sab kuch humein bata diya.

Raavi kehte hain: Hamare sab se zyada (ilm wale mein se) sab se kam yaad rakhne wala sab se zyada yaad rakhne wala hai.

Khulasa: Is hadees sharif se pata chala ke Huzoor Saiyad-ul-Aalam ﷺ ne qayamat tak hone wala tamaam bayan ek hi din mein kaha diya. Is mein Huzoor ﷺ ke do mojize hain: (1) qayamat tak hone wali har cheez ka ilm, (2) sab kuch sirf ek hi din mein bayaan farmadeina.

(Hawala: Muslim)

📖 Kitaab: Chalees Hadeeso (40 Hadeeso)

Unwaan: Hadees-9 | Ek Din Ka Bayan

Zaroor Padhein: Ghaus-e-Azam Ka Waqia • Namaz Ka Bayan • Namaz Ki Ahmiyat