Shaitan Ke Dhokon Se Hifazat | La Hawla Wala Quwwata
Hazrat Abu Bakr Siddiq (Radiyallahu Anhu) riwayat karte hain ke Hazoor Akram (Sallallahu Alaihi wa Sallam) ne irshad farmaya: Allah Ta'ala ne farmaya ki apni ummat ko bata do ke woh —
لَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللَّهِ
"Laa haula wa laa quwwata illaa billaah."
★ Kitni Martaba Aur Kab ★
- Das (10) martaba subah ke waqt padhein.
- Das (10) martaba shaam ke waqt padhein.
- Das (10) martaba sote waqt padhein.
★ Is Ka Nafa ★
Sote waqt padhne se duniya ki aafaton se mehfooz rahenge.
Shaam ko padhne se shaitan ke dhoke se mehfooz rahenge.
Subah ke waqt padhne se mere (Allah ke) ghusse se mehfooz rahenge.
[Hawala: Amal Kam Nafa Zyada — pages 47–48; asal marja "Kanzul Ummal", Jild 2, Hadees 3607.]
وَصلّی اللهُ تَعالیٰ عَلَی سَیِّدِنا مُحَمَّدٍ وَّآلِهٖ وَصَحبِهٖ اَجمَعِیـن
📖 Kitaab: Amal Kam Nafa Zyada — pages 47–48
📚 Asal Marja: Kanzul Ummal (Jild 2, Hadees 3607)
🔗 Yeh Bhi Zaroor Padhein: Be-Misaal Amal Aur Ba'd-e-Namaz Ke Wazaif • Namaz Ka Bayan: Ahmiyat Aur Fazilat • Islam Ke Paanch Arkan