Namaz Ke Hadees Aur Jamaat Ki Fazilat

★ Namaz Ke Hadees ★

Namaz deen ka sutoon hai, aur is mauzu par kitab “Chalees Hadeeso” (40 Hadeeso) me jo hadees chape hain unhe hum ne pehle alag alag qiston me publish kiya tha. Yeh page unhi hadeeso ka majmu’a hai — taake aap ko ek hi jagat par mil jaye.

Har hadees bilkul waise hi diya gaya hai jaise kitab me likha hai: matan ka tarjuma, uske neeche kitab me chapa hua “Khulasa”, aur aakhir me hawala. Koi alfaz hum ne apne taraf se shamil nahi kiye. Niche har hadees ke neeche us qiste ka link bhi hai jisme yeh hadees apni poori tafseel ke sath chhapa tha.

Kitab Se Chhape Hue Hadees — Ek Jagat

Niche diye gaye hadees kitab “Chalees Hadeeso” (40 Hadeeso) se liye gaye hain aur isi blog par pehle chhape ja chuke hain. Har hadees ke neeche us poori qist ka link hai jisme yeh darj tha.

(13) Hadees: Hazrat Ibne Umar (R.A.) se marvi hai ke Rasool-e-Khuda ﷺ ne farmaya: Badi jamaat ki namaz pakdo, beshak! jo badi jamaat se juda hua, use jahannum mein daal diya jaayega.

(Hawala: Ibne Maajah)

→ Poori qist padhein: Namaz-e-Jamaat Ki Fazilat | Hadees Ki Roshni Mein

(22) Hadees: Hazrat Anas (R.A.) se marvi hai ke Rasool-e-Khuda ﷺ ne farmaya: Jo aurat paanch waqt ki namazein padhe aur apne sauhar (pati) ki farmabardari kare, woh jannat ke jis darwaze se chahe andar daakhil ho.

(Hawala: Abu Nuaim)

→ Poori qist padhein: Aurat Ke Liye Jannat Ki Khushkhabri — 5 Namazein | Hadees

(23) Hadees: Hazrat Usman (R.A.) se marvi hai ke Rasool-e-Khuda ﷺ ne farmaya: Jo Isha ki namaz jamaat ke saath padhe, to usay aadhi raat ki ibadat ka sawab milta hai, aur jo Fajr ki namaz jamaat ke saath padhe, to usay poori raat ki namaz ka sawab milta hai.

(Hawala: Muslim)

→ Poori qist padhein: Isha Aur Fajr Ki Jamaat Ka Sawaab | Hadees

Is Topic Par Hamari Mukammal Posts

Niche di gayi posts me namaz ka tarika, auqaat, rak’atein, khushu-o-khuzu aur masail alag alag bayan kiye gaye hain — har ek ka taaruf usi post ke apne pehle alfazon se aur uske apne unwanat (headings) ke sath diya gaya hai.

Namaz Ka Tarika: 5 Waqt Ki Namaz Ki Mukammal Guide

Allah Paak ne har aaqil-o-baaligh musalman par din-raat me 5 waqt ki namaz farz ki hai. Namaz deen ka sutoon hai aur qayamat ke din sabse pehla hisaab namaz hi ka hoga.

Is post ke unwanat: 1. Paanch Waqt Ki Namazein Aur Unki Rak'atein • 2. Wudu Ka Sunnat Tareeqa Aur Duayein • 3. Namaz Padhne Ka Amali Tareeqa (Step-by-Step) • 4. Namaz Me Padhi Jaane Wali Aakhri 10 Suratein (Roman Urdu)

Post padhein — poori tafseel yahan hai

Namaz Ki Ahmiyat, Khushu-o-Khuzu Aur Benamazi Ke Azab

Allah Ta'ala aur Uske Rasool ﷺ par imaan laane aur Tauheed-o-Risalat ki gawahi ke baad Islam me sabse pehla aur sabse azeem farz Namaz hai. Namaz Allah Ta'ala ki aisi khaas ibadat hai jo har aaqil-o-baaligh musalman aurat aur mard par din-raat me 5 waqt farz ki gayi hai.

Is post ke unwanat: Namaz Me Khushu Aur Khuzu Ka Maqam • Namaz Chhodne Ka Sangeen Gunah Aur Wabal: • Namaz Me Susti Karne Wale Ke 15 Azabaat

Post padhein — poori tafseel yahan hai

Paanch Waqt Ki Namazon Ki Rak'atein - Fajr Se Juma Tak

Bayan: Paanch waqt ki namazon aur Juma ki namaz mein Farz, Sunnat, Nafl aur Witr rak'aton ki kul tafseel niche di ja rahi hai. Sunnat-e-Muakkada wo Sunnat hai jise Rasool Allah ﷺ ne kabhi chhoda nahi, aur Sunnat-e-Ghair Muakkada wo hai jise aap ﷺ ne kabhi kabhi chhor diya.

Post padhein — poori tafseel yahan hai

Sajdah-e-Sahw Ke Masail Aur Sharai Tarika

Namaz mein darj zail galtiyon mein se koi bhi bhool ho jaye to Sajdah-e-Sahw wajib ho jata hai.

Is post ke unwanat: Sajdah-e-Sahw Kab Wajib Hota Hai? • Ahem Nuskha • Sajdah-e-Sahw Karne Ka Sunnat Tarika • Sajdah-e-Sahw Ke Masail

Post padhein — poori tafseel yahan hai

Namaz Ka Bayan: Namaz Ki Ahmiyat, Fazilat Aur Quran Ka Hukm

Islam ki bunyaad paanch arkaan par hai. Is baat ki gawahi dena ke Allah ke siwa koi mabood nahi aur Muhammad ﷺ Allah ﷻ ke Rasool hain.

Post padhein — poori tafseel yahan hai

Be-Misaal Amal Aur Ba'd-e-Namaz Ke Wazaif

Bayan: Har namaz ke baad kuch azkaar aur wazaif ka ehtemal insaan ko azeem sawab, darjaat ki bulandi aur har qism ki pareshani se hifazat ata karta hai.

Is post ke unwanat: Tasbeeh-e-Fatima Zahra (R.A) • Pareshani Aur Gham Se Hifazat Ka Amal • Panj Roz Qadiri Wazaif (Durood-o-Asma-e-Husna)

Post padhein — poori tafseel yahan hai

📖 Kitaab: Chalees Hadeeso (40 Hadeeso)

Unwaan: Namaz Ke Hadees

Zaroor Padhein: Namaz-e-Jamaat Ki Fazilat • Aurat Ke Liye Jannat Ki • Isha Aur Fajr Ki Jamaat Ka

Is topic ki saari posts: Namaz Ka Tarika