Patni Ke Huqooq — Rasool ﷺ Ka Bayan | Hadees

Patni Ke Huqooq — Rasool ﷺ Ka Bayan | Hadees
★ Patnion Ke Haq Kya Hain? ★

Aaj ki qist me hum kitab “Chalees Hadeeso” se 39vi hadees pesh kar rahe hain — jaisi kitab me likhi hai, waise hi tarjume ke sath.

(39) Hadees: Hakim Ibne Muawiyah Qushairi (R.A.) apne baap ki zubaani rivayat karte hain, unhon ne kaha: Main ne arz ki: Ya Rasoolallah! Hamare upar patnion ka kya haq hai? Aap ﷺ ne farmaya: Jab tum khaao to unhe bhi khilao, jab pehno to unhe bhi pehnao, chehre par na maaro, buri baat na kaho, aur (saza ke taur par) ghar se na nikalo.

Khulasa: Yaani baap-pati apni taqat ke mutabiq rawa rakhe aur zulm se door rahe: chehre par kahi bhi na maare, buri baat na kahe, gusse se na bhadke, aur agar alag rehne ki naubat aaye to aisa na kare ke ghar se hi bahar nikal de, kyunke ye mustahab ke khilaaf hai.

(Hawala: Ahmad, Abu Dawud, Ibne Majah)

📖 Kitaab: Chalees Hadeeso (40 Hadeeso)

Unwaan: Hadees-39 | Patni Ke Huqooq

Zaroor Padhein: Ghusl Ke Zaroori Masail • Namazon Ki Rak’atein • Ghusl Ke Faraiz