Tawakkul Kya Hai? Chidiya Wali Hadees — Rozi Ki Dua

Tawakkul Kya Hai? Chidiya Wali Hadees — Rozi Ki Dua
★ Chidiya Ka Misali Tawakkul ★

Aaj ki qist me hum kitab “Chalees Hadeeso” se 19vi hadees pesh kar rahe hain — jaisi kitab me likhi hai, waise hi tarjume ke sath.

(19) Hadees: Hazrat Umar Ibne Khattab (R.A.) se marvi hai ke Rasool-e-Khuda ﷺ ne farmaya: Tum Allah par aisa bharosa karo jaisa us par bharosa karne ka haq hai, to beshak woh tumhe waisi hi rozi dega jaisi chidiya ko deta hai: woh subah khali pet jaati hai aur shaam bharay pet laut ti hai.

Khulasa: Chahiye ke banda Allah par bharosa kare aur uske fazl par poora aitmaad rakhe.

(Hawala: Tirmidhi)

📖 Kitaab: Chalees Hadeeso (40 Hadeeso)

Unwaan: Hadees-19 | Tawakkul

Zaroor Padhein: Hazrat Ibrahim Ki Dua • Ghusl Ke Faraiz • Namaz Ka Bayan