Qanaat Sab Se Badi Neki Hai — Hadees Ka Bayan
Aaj ki qist me hum kitab “Chalees Hadeeso” se 20vi hadees pesh kar rahe hain — jaisi kitab me likhi hai, waise hi tarjume ke sath.
(20) Hadees: Hazrat Saad (R.A.) se marvi hai ke Rasool-e-Khuda ﷺ ne farmaya: Badi neki isi mein hai ke Allah uske liye jo nasib likh chuka hai, us par woh raazi rahe, aur badi badqismati isi mein hai ke banda Allah se bhalaai maangna chhod de.
Khulasa: Yaani banday ko chahiye ke Allah ke taqdeer shuda (mukaddar) par raazi rahe aur Allah se hamesha bhalaai maangta rahe. Aur istekhara karna — jaisa hadees mein aaya hai — sunnat hai.
(Hawala: Ahmad, Tirmidhi)
📖 Kitaab: Chalees Hadeeso (40 Hadeeso)
Unwaan: Hadees-20 | Qanaat
Zaroor Padhein: Ghusl Ke Ibtidai Masail • Ghusl Ke Faraiz • Namaz Ka Bayan
