Roza Mere Liye Hai — Allah Ka Qudsi Farman | Hadees

Roza Mere Liye Hai — Allah Ka Qudsi Farman | Hadees
★ Rozedar Ke Liye Do Khushiyan ★

Aaj ki qist me hum kitab “Chalees Hadeeso” se 24vi hadees pesh kar rahe hain — jaisi kitab me likhi hai, waise hi tarjume ke sath.

(24) Hadees: Hazrat Abu Hurairah (R.A.) se marvi hai ke Rasool-e-Khuda ﷺ ne farmaya: Banday ke har nek amal ka sawab das se sattar guna tak badhaya jaata hai. Allah Ta’ala ne farmaya: Roza sivaa — ke woh mere liye khaas hai aur main hi uska badla doonga, kyunki banda apni khwaahish aur apna khana-peena mere liye chhod deta hai. Rozedaar ke liye do khushiyan hain: ek rozaa kholte waqt, aur ek apne Rab se milte waqt.

Khulasa: Is hadees se pata chala ke rozay ka badla andaz aur hisaab se zyada hai, aur Parwardigar khud uska badla deta hai, farishton ke hawale nahi karta. Rozedaar ko do jagah khushi milti hai: rozaa kholte waqt bandagi ki adaayegi ki khushi Allah ke fazl se, aur didar-e-ilaahi ke waqt aisi khushi jo andaz se bahar hai.

(Hawala: Bukhari tatha Muslim)

📖 Kitaab: Chalees Hadeeso (40 Hadeeso)

Unwaan: Hadees-24 | Roza Aur Sawab

Zaroor Padhein: Namaz Ka Bayan • Namazon Ki Rak’atein • Sajdah-e-Sahw Ke Masail