Rasool ﷺ Ki Farmabardari = Allah Ki Farmabardari | Hadees

Rasool ﷺ Ki Farmabardari = Allah Ki Farmabardari | Hadees
★ Farmabardari Ka Asal Maana ★

Aaj ki qist me hum kitab “Chalees Hadeeso” se 5vi hadees pesh kar rahe hain — jaisi kitab me likhi hai, waise hi tarjume ke sath.

(5) Hadees: Hazrat Jaabir (R.A.) se marvi hai ke Rasool-e-Khuda ﷺ ne farmaya: Jo shakhs Rasool-e-Khuda ﷺ ki farmabardari kare, usne Allah Ta’ala ki farmabardari ki, aur jo Muhammad Mustafa ﷺ ki nafarmani kare, usne Allah Ta’ala ki nafarmani ki. Aur Muhammad Mustafa ﷺ logon mein farq karne wale hain.

Khulasa: Yaani kafir aur musalman, aur nafarmaan aur farmabaar mein ye farq padta hai: jo aap ﷺ ko sweekar kare woh momin, aur jo na sweekare woh kafir; aur jo aap ﷺ ke isharon ke mutabiq amal kare woh farmabaar, aur jo uske khilaf kare woh nafarmaan.

(Hawala: Bukhari)

📖 Kitaab: Chalees Hadeeso (40 Hadeeso)

Unwaan: Hadees-5 | Rasool Ki Farmabardari

Zaroor Padhein: Ghaus-e-Azam Ka Waqia • Namaz Ka Bayan • Namaz Ki Ahmiyat