Mohabbat-e-Rasool ﷺ — Iman Ki Pehli Shart | Hadees

Mohabbat-e-Rasool ﷺ — Iman Ki Pehli Shart  Hadees
★ Mukammal Momin Kaun? ★

Aaj ki qist me hum kitab “Chalees Hadeeso” se 2vi hadees pesh kar rahe hain — jaisi kitab me likhi hai, waise hi tarjume ke sath.

(2) Hadees: Hazrat Anas (R.A.) se marvi hai ke Rasool-e-Khuda ﷺ ne farmaya ke tum mein se koi shakhs tab tak mukammal momin nahi ho sakta, jab tak ke main uske baap, uske bete aur tamam logon se barh kar usay mehboob na ho jaun.

Khulasa: Is hadees se saabit hua ke mukammal momin woh hai ke har cheez aur har shakhs se barh kar Huzoor ﷺ se mohabbat rakhe.

(Hawala: Bukhari, Muslim)

📖 Kitaab: Chalees Hadeeso (40 Hadeeso)

Unwaan: Hadees-2 | Mohabbat-e-Rasool

Zaroor Padhein: Ghaus-e-Azam Ka Waqia • Namaz Ka Bayan • Khwaja Garib Nawaz