Islam Ke Paanch Arkan | Kalima, Namaz, Zakaat, Hajj, Roza
Aaj ki qist me hum kitab “Chalees Hadeeso” se 1vi hadees pesh kar rahe hain — jaisi kitab me likhi hai, waise hi tarjume ke sath.
(1) Hadees: Hazrat Ibne Umar (R.A.) se marvi hai ke Rasool-e-Khuda ﷺ ne farmaya ke Islam paanch cheezon par banaaya gaya hai:
Pehli: Ye gawahi dena ke Allah Ta’ala sivaa koi ibadat ke laayak nahi, aur ye ke Muhammad Mustafa ﷺ uske bandah aur Rasool hain.
Doosri: Namaz kaayam karna.
Teesri: Zakaat dena.
Chauthi: Hajj.
Panchvi: Ramazan ka roza rakhna.
Khulasa: Is hadees se saabit hua ke ye paanchon cheezein deen ke arkaan (pillars) hain.
(Hawala: Bukhari, Muslim)
📖 Kitaab: Chalees Hadeeso (40 Hadeeso)
Unwaan: Hadees-1 | Islam ke Paanch Arkan
Zaroor Padhein: Ghusl Kab Farz • Namazon Ki Rak’atein • Sajdah-e-Sahw Ke Masail • Halal Rizq Ki Du’a Aur Zakaat
