Wuzu Ka Tarika: Faraiz, Sunnatein Aur Duayein
Wuzu karne wala apne dil me wuzu ki pukhta niyat kare aur Kaaba Shareef (Qiblah) ki taraf rukh karke kisi unchi jagah par baithe taaki paani ke chheentein na udein. Wuzu shuru karte waqt yeh dua padhe:
بِسْمِ اللَّهِ الْعَظِيمِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ عَلَى دِينِ الْإِسْلَامِ
"Bismillahil Azeem Walhamdulillahi Ala Deenil Islam"
(Agar yeh yaad na ho toh بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيمِ padh lein).
Wuzu Ka Amali Aur Sunnat Tareeqa
- Haath Dhona Aur Miswak: Dono haathon ko teen baar kalaiyon (gatton) tak dhoye'in. Fir daatan (Miswak) karein; miswak na ho toh ungli se daant aur masoodon ko achhi tarah saaf karein. Agar daanton ya khidkiyon me koi cheez phansi ho toh nikaal lein.
- Kulli (Garara): Teen baar munh bhar kar kulli karein. Roza na ho toh garara bhi karein taaki halaq tak thandak pahuche. Roza ho toh garara na karein taaki halaq me paani na utre.
- Naak Me Paani Daalna: Seedhe (daayen) haath se teen baar naak me paani chadhayein aur baayen (ulte) haath ki chhutli ungli se naak saaf karein.
- Chehra Dhona: Dono haathon me paani le kar teen baar chehra is tarah dhoye'in ke peshani ke baalon se le kar thhodi (chin) ke niche tak aur ek kaan ki lau se doosre kaan ki lau tak har hisse par paani beh jaye. Agar daadhi ho toh daadhi ka khilaal karein (ungliyon ko neeche se baalon me daal kar saaf karein). (Hajj ke ehram ki halat me daadhi ka khilaal na karein).
- Kohniyon Samet Haath Dhona: Pehle seedha haath ungliyon se kohni ke upar tak teen baar dhoye'in, fir isi tarah baayan haath dhoye'in. Ungli me angothi, chhalli ya aurton ke kangan hon toh unhe aage-peeche hila kar paani pahunchana farz hai.
- Sar Ka Masah (Tariqa-e-Kamil): Dono haathon ko geela karein. Angootha aur kalme ki ungli chhod kar baaqi teen-teen ungliyon ke pet ko peshani se sar ke pichhle hisse tak le jayein (dhyan rahe ke hatheli sar se na chhue). Fir sar ke pichhle hisse se dono hatheliyon ko sar ke daayen-baayen se peshani tak wapas layein.
- Kaan Aur Gardan Ka Masah: Kalme ki ungli ke pet se kaan ke andar ka hissa, aur angoothe ke pet se kaan ke pichhle hisse ka masah karein. Fir chhoot rahi ungliyon ke pichhle hisse se gardan ki pusht (pichhle hisse) ka masah karein. (Gale ka agla hissa masah karna mana hai).
- Paon Dhona: Pehle daayan paon takhno (ankles) ke thoda upar tak teen baar dhoye'in, fir baayan paon dhoye'in. Baayen haath ki chhutli ungli se paon ki ungliyon ka khilaal karein (daayen paon ki chhutli ungli se shuru karke baayen paon ki chhutli par khatam karein).
Wuzu Ke Baad Ki Duayein Aur Fazail
1. Mashhoor Masnoon Dua:
اللَّهُمَّ اجْعَلْنِي مِنَ التَّوَّابِينَ وَاجْعَلْنِي مِنَ الْمُتَطَهِّرِينَ
"Allahummaj'alni Minat-Tawwabeena Waj'alni Minal Mutatahhireen"
2. Aasmaan Ki Taraf Munh Karke Yeh Dua Padhein:
سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ أَشْهَدُ أَنْ لَا إِلٰهَ إِلَّا أَنْتَ أَسْتَغْفِرُكَ وَأَتُوبُ إِلَيْكَ
"Subhanakallahumma wa bihamdika ash-hadu alla ilaha illa anta astaghfiruka wa atoobu ilayk"
🌟 Surah Al-Qadr (Inna Anzalnahu) Padhne Ki Fazilat:
Jo shakhs wuzu ke baad ek baar Surah Qadr padhega uska naam shuhada ke daftar me likha jayega, aur jo teen baar padhega Allah Ta'ala uska hashr Ambiya Kiram ke sath farmayega. (Hawala: Rukn-e-Deen)
🌟 Kalma-e-Shahadat Padhna: Jo shakhs wuzu ke baad Kalma Shahadat padhega uske liye Jannat ke aathhon darwaze khol diye jayenge. (Sahih Muslim)
🌟 Wuzu Ka Bacha Hua Paani Peena: Wuzu ke baad khade hokar bacha hua paani peena amraaz (beemariyon) se shifa ka sabab hai.
Wuzu Ke 4 Faraiz (Quran-e-Majeed Ka Hukm)
- Peshani se thhodi tak aur kaan ki lau se dusre kaan ki lau tak poore chehre ko ek martaba dhona.
- Dono haathon ko kohniyon samet ek martaba dhona.
- Sar ke chauthai (1/4th) hisse ka masah karna (bheega hua haath pherna).
- Dono paon ko takhno (ankles) samet ek martaba dhona.
Wuzu me aaza (ango) ko dhone ka matlab yeh hai ke us hisse par se kam az kam 2 qatre paani beh kar tapak jayein. Sirf haath geela karke badan par pher lene se dhowa hua nahi maana jayega aur wuzu nahi hoga. Isi tarah masah karte waqt haathon par paani daal kar choomna galat aur bekaar rasm hai; sirf bheega hua haath sar par pherna hi masah hai.
📖 Kitaab: Tohfa-e-Me'raj Namaz (Safha: 29, 30, 31, 32)
📚 Kutub-e-Fiqh: Durr-e-Mukhtar, Raddul Muhtar (Jild 1, Safha 57), Fatawa-e-Alamgiri (Jild 1/4), Sahih Muslim Shareef
🔗 Zaroor Padhein: Namaz Ka Mukammal Tarika: 5 Waqt Ki Rakat Aur Suratein
Related Topics Aur Padhein
Yeh Bhi Zaroor Padhein