Hazrat Khwaja Garib Nawaz Ka Khandan Aur Shajra-e-Nasab
Sultanul Hind, Aata-e-Rasool Hazrat Khwaja Moinuddin Hasan Chishti Sanjari Ajmeri (رحمة الله عليه) Paighambar-e-Islam Sallallahu Alaihi Wasallam ke khandan-e-aaliyah ke roshan chiraag hain. Aap Gulshan-e-Fatima Khatoon-e-Jannat (رضي الله عنها) ke mehakte aur shaadaab phool, Maula-e-Kainat Sayyidul Auliya Hazrat Ali Murtaza (رضي الله عنه) ke ilmo-amal, joodo-sakha (sakhavat) ke sachhe waris aur Hasani-o-Husaini nasabi faizan ka azeem sangam hain.
Hazrat Khwaja Garib Nawaz baap (walid) ki taraf se Husaini Syed hain aur maa (walida) ki taraf se Hasani Syed hain, isliye aap "Najeebut-Tarafain" Syed hain.
1. Walid-e-Mohtaram Ki Taraf Se Shajra-e-Nasab (Husaini Silsila)
- Hazrat Khwaja Syed Moinuddin Hasan Chishti
- Bin Hazrat Khwaja Syed Ghiyasuddin
- Bin Hazrat Khwaja Syed Kamaluddin
- Bin Hazrat Khwaja Syed Husain Ahmad
- Bin Hazrat Khwaja Syed Tahir
- Bin Hazrat Khwaja Syed Abdul Aziz
- Bin Hazrat Khwaja Syed Ibrahim
- Bin Hazrat Khwaja Syed Imam Ali Moosa
- Bin Hazrat Syed Imam Moosa Kazim
- Bin Hazrat Syed Imam Ja'far Sadiq
- Bin Hazrat Syed Imam Muhammad Baqir
- Bin Hazrat Syedna Imam Zainul Abideen
- Bin Hazrat Syedna Sayyidush-Shuhada Imam-e-Husain
- Bin Hazrat Syedna Ameerul Momineen Ali ibn Abi Talib (رضي الله عنهم اجمعين)
2. Walida Mohtarma Ki Taraf Se Shajra-e-Nasab (Hasani Silsila)
Hazrat Bibi Sayyeda Ummul Wara (Urf Bibi Mahe Noor) Binte Syedna Dawood:
- ★ Binte Hazrat Syedna Dawood
- ★ Bin Hazrat Syedna Abdullah Hambali
- ★ Bin Hazrat Syedna Zahid
- ★ Bin Hazrat Syedna Mooris
- ★ Bin Hazrat Syedna Dawood
- ★ Bin Hazrat Syedna Moosa Jawn
- ★ Bin Hazrat Syedna Abdullah
- ★ Bin Hazrat Syedna Hasan Musanna
- ★ Bin Hazrat Syedna Imam Hasan
- ★ Bin Hazrat Syedna Ameerul Momineen Ali ibn Abi Talib (رضي الله عنهم اجمعين)
SubhanAllah! Azeem Nasab Aur Roohani Virasat:
Hazrat Khwaja Garib Nawaz (رحمة الله عليه) ka wajood-e-ba-masood un do noori daryaaon ka sangam hai jinhe Sayyidatun Nisa Hazrat Fatima-tuz-Zahra aur Maula Ali Murtaza (رضي الله عنهما) se azeem martaba haasil hua. Aapke rag-o-paish me Hasani jood-o-karam aur Husaini shuja'at-o-istiqamat dono dhal kar Hindustan ke liye aaftab-e-hidayat ban kar ubhre.
📖 Kitaab: Sultanul Hind Khwaja Gareeb Nawaz
📄 Safha Numbers (Pages): 4, 5
🔗 Zaroor Padhein: Hazrat Imam Hasan Mujtaba Ki Ibadat Aur Seerat
Related Topics Aur Padhein
Yeh Bhi Zaroor Padhein • Rauze Aqdas Aur Auliya Ke Mashaahir Par Salaam