Padosi Aur Mehmaan Ke Huqooq — Hadees-e-Bukhari
Aaj ki qist me hum kitab “Chalees Hadeeso” se 33vi hadees pesh kar rahe hain — jaisi kitab me likhi hai, waise hi tarjume ke sath.
(33) Hadees: Hazrat Abu Hurairah (R.A.) se marvi hai ke Rasool-e-Khuda ﷺ ne farmaya: Jo Allah aur qayamat ke din par imaan rakhe, woh apne padosi ko na sataye. Aur jo Allah aur qayamat ke din par imaan rakhe, woh apne mehmaan ka ikram kare. Aur jo Allah aur qayamat ke din par imaan rakhe, woh ya to bhali baat kahe ya chup rahe.
(Hawala: Bukhari)
📖 Kitaab: Chalees Hadeeso (40 Hadeeso)
Unwaan: Hadees-33 | Padosi Aur Mehmaan
Zaroor Padhein: Namaz Ki Ahmiyat • Namaz Ka Bayan • Namazon Ki Rak’atein
