Paanch Waqt Ki Namazon Ki Rak'atein - Fajr Se Juma Tak

Paanch Waqt Ki Namazon Ki Rak'atein - Fajr Se Juma Tak
★ Paanch Waqt Ki Namazon Ki Rak'atein ★

Bayan: Paanch waqt ki namazon aur Juma ki namaz mein Farz, Sunnat, Nafl aur Witr rak'aton ki kul tafseel niche di ja rahi hai. Sunnat-e-Muakkada wo Sunnat hai jise Rasool Allah ﷺ ne kabhi chhoda nahi, aur Sunnat-e-Ghair Muakkada wo hai jise aap ﷺ ne kabhi kabhi chhor diya.

Namaz Kul Rak'atein Tafseel
Fajr 4 2 Sunnat-e-Muakkada, phir 2 Farz.
Zuhr 12 4 Sunnat-e-Muakkada, phir 4 Farz, phir 2 Sunnat-e-Muakkada, aur aakhir mein 2 Nafl.
Asr 8 4 Sunnat-e-Ghair Muakkada, phir 4 Farz.
Maghrib 7 3 Farz, phir 2 Sunnat-e-Muakkada, aur aakhir mein 2 Nafl.
Isha 17 4 Sunnat-e-Ghair Muakkada, phir 4 Farz, phir 2 Sunnat-e-Muakkada, phir 2 Nafl, phir 3 Witr (Wajib), aur aakhir mein 2 Nafl.
Juma 14 4 Sunnat-e-Muakkada, phir 2 Farz, phir 4 Sunnat-e-Muakkada, phir 2 Sunnat, aur aakhir mein 2 Nafl.

📌 Ek Ahem Mas'ala

Mas'ala: Auratein Juma ke din Juma ki namaz ke badle apne ghar par Zuhr ki namaz ada karein.

📖 Kitaab: Tohfa-e-Me'raj Namaz

📄 Unwan: Paanch Waqt Ki Namazon Ki Rak'atein

🔗 Zaroor Padhein: Namaz Ke Mukammal Masail