Barkat Ki Dua — Sham, Yaman Aur Najd Wali Hadees
Aaj ki qist me hum kitab “Chalees Hadeeso” se 15vi hadees pesh kar rahe hain — jaisi kitab me likhi hai, waise hi tarjume ke sath.
(15) Hadees: Hazrat Ibne Umar (R.A.) se marvi hai ke Rasool-e-Khuda ﷺ ne ye dua ki: “Ae mere Rab! Hamare Sham mein barkat ata farma! Ae mere Rab! Hamare Yaman mein barkat ata farma!” Logon ne arz ki: Ya Rasoolallah! Aur hamare Najd mein? Aap ﷺ ne phir farmaya: Ae mere Rab! Hamare Sham mein barkat, ae mere Rab! Hamare Yaman mein barkat! Logon ne kaha: Ya Rasoolallah, aur hamare Najd mein? Rawi kehte hain ke aakhirkaar teesri baar aap ﷺ ne farmaya: Wahan (Najd mein) zalzale aur fitne honge, aur wahin se shaitan ka sing niklega.
Khulasa: Huzoor ﷺ ke farmane ke mutabiq wahi (Najd ka ilaaqa) padha hua aur usne Islam mein zalzala paida kiya aur musalmanon ke fitne paida kiye.
(Hawala: Bukhari)
📖 Kitaab: Chalees Hadeeso (40 Hadeeso)
Unwaan: Hadees-15 | Barkat Ki Dua
Zaroor Padhein: Kya Yeh Musalman Hain?? • Ghaus-e-Azam Ka Waqia • Imam Hasan Ki Ibadat
