70 Hazaar Log Bina Hisab Jannat Mein — Kaun? | Hadees

70 Hazaar Log Bina Hisab Jannat Mein — Kaun  Hadees
★ Sattar Hazaar Be-Hisab Jannat ★

Aaj ki qist me hum kitab “Chalees Hadeeso” se 17vi hadees pesh kar rahe hain — jaisi kitab me likhi hai, waise hi tarjume ke sath.

(17) Hadees: Hazrat Ibne Abbas (R.A.) se marvi hai ke Rasool-e-Khuda ﷺ ne farmaya: Jannat mein meri ummat mein se sattar hazaar (70,000) log be-hisab (hesaab ke bagar) jayenge. Woh log jo na jhaadu-phook karte hain, na tiyur (bad-shagun) ko bura maante hain, aur apne Rab par bharosa rakhte hain.

Khulasa: Is hadees se pata chala ke banday ke liye Allah par bharosa behtar hai. Tiyur (bad-shagun) se musalman ko bachna chahiye. Jis jhaadu-phook mein shirk ke alfaz hon, us se musalman bola hi nahi ja sakta; jis ka matlab na jaana ho us se bhi bachna zaroori hai. Haan, jis mein koi najayaz lafz na ho, us mein kharabi nahi. Kafiron se jhaadu-phook karwana mana hai. Jo log jogiyon, maliyon, balwaagaron se jhaadu-phook karwaate hain, wo sakat gunahgar hain. Muslim Sharif ki ek rivayat mein bhi aaya hai ke sattar hazaar mard be-hisab jannat mein jayenge, har ek ke saath aur sattar hazaar — is hisaab se jannat mein be-hisab jaane wale paanch amaj (karodon) laghbhag honge.

(Hawala: Bukhari, Muslim)

📖 Kitaab: Chalees Hadeeso (40 Hadeeso)

Unwaan: Hadees-17 | 70 Hazaar Bina Hisab

Zaroor Padhein: Namaz Ki Ahmiyat • Namaz Ka Bayan • Namazon Ki Rak’atein